Baithalangso Waterfall, Karbi Anglong Assam

Hello doston, kaise ho aap sab? Umeed karta hoon aap sab acche honge. Aaj main aapko le chalne wala hoon Assam ke ek bahut hi sundar aur romanchak waterfall – Baithalangso Waterfall ke bare mein. Agar aap Assam mein rehte ho aur aapko waterfall dekhne ka shauk hai, natural jagahon par ghoomna pasand hai, to yeh jagah aapke liye perfect hai. Yahan aane ke baad aapka dil garden-garden ho jayega, kyunki yeh jagah bahut hi shant, saaf aur natural hai. Is waterfall par aap: Naha sakte ho, Ghoom sakte ho, Picnic kar sakte ho, Aaram se khana bana kar kha sakte ho To chaliye doston, bina time waste kiye jaante hain Baithalangso Waterfall kahan hai, kaise jaana hai aur yeh jagah itni special kyun hai

Baithalangso Waterfall Kahan Sthit Hai?

Baithalangso Waterfall Karbi Anglong district, Assam mein sthit hai. Yeh jagah charon taraf se pahadiyon se ghiri hui hai, jahan se paani unchai se neeche girta hua bahut hi khubsurat nazara pesh karta hai. Yahan ka vatavaran bilkul pollution-free hai. Aisa lagta hai jaise aap shuddh oxygen le rahe ho. Ek baar yahan aane ke baad aapka mann kahin aur jaane ka .

Baithalangso Waterfall Jaane Ka Sahi Samay

Agar aap Baithalangso Waterfall jaana chahte ho, to June, July aur August ka samay sabse behtar hota hai. Is samay garmi zyada hoti Hai waterfall full flow mein hota Hai nahane aur enjoy karne ka alag hi maza hota hai.

Prakritik Sundarta aur Shanti

Baithalangso ek shant aur peaceful place hai. Yahan aapko charon taraf: Pahad, Hariyali Thandi hawa natural sound (paani aur jungle ki awaaz) dekhne aur mehsoos karne ko milta hai. Yeh jagah nature lovers ke liye kisi swarg se kam nahi hai.

Yahan Ki Bhasha aur Local Culture is area mein mukhya roop se Bodo, Karbi, Dimasa jaise janajati samudaya ke log rehte hain. Yahan ke log bahut simple aur nature ke kareeb jeevan jeete hain.

Local Khana yahan ka khana bahut hi: Natural Swadisht Healthy hota hai. Log apne khane mein jyadatar natural cheezon ka use karte hain. Bamboo rice bhi yahan ka ek popular food hai, jiska taste aapko zarur pasand aayega

Kyun Special Hai Baithalangso Waterfall?

Baithalangso Waterfall ek aisi jagah hai jahan: Ek baar jaane ke baad baar-baar jaane ka mann karta hai log sirf enjoy aur relaxation ke liye aate Hain shanti aur fresh mind ka anubhav hota hai. Yeh jagah sach mein ek peaceful tourist spot hai.

Night Stay aur Safety Information Important Information:

Yahan stay karne ke liye koi hotel ya room available nahi hai. Raat ko rukna safe nahi mana jata Raat ke time hathi aur jungle jaanwaron ka khatra hota hai. Isliye family, dost ya bhai-behen ke saath aaye ho to din mein hi ghoom kar wapas nikal jaana behtar hota hai

About rajasthanichora1804@gmail.com

View all posts by rajasthanichora1804@gmail.com →

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *